Holi Celebration in Gujarat Goa and Maharashtra {भारत के विभिन्न राज्यों में होली का जश्न - 1} : Details in Hindi

 Holi Celebration in Gujarat Goa Maharashtra in hindi: Namaskar Dosto! Holi ke ek or khas or vishesh article me aapka bahut swagat hai. India is the country of festival as various kind of festivals keeps India vibrant. Bharat ke tyoharo ki yahi khashiyat hai ki vo samay samay par aate rehte hai or hamen alive rakhte hai. Holi esi shreni ka ek pramukh tyohar hai.

holi-celebration-in-india-hindi-me
Holi Celebration


Holi essay in hindi me hamne aapko bataya tha ki kaise Holi ka tyohar dham dhoom se manaya jaata hai or desh videsh me iski dhoom rehti hai. Hamne aapko yeh bhi bataya tha ki how holi is celebrated in world.  To aaj ke is article me ham janenge ki Bharat ke alag alag rajyo me Holi ka tyohar kaise manaya jata hai. To aaiye chalete hai article ki or. Is article main ham aapko batane ja rahe hai How holi is celebrated in Gujarat Goa and Maharashtra.

Holi Celebration 

Holi Celebration in Gujarat

Gujarat me Holi celebration ki baat kare to yahan par Holi ka tyohar 2 dino tak manaya jata hai. Holi ka pahla din Holika Dahan or Doosra din Dhuleti ke rup me manaya jata hai. Holi ki sham ko log chaorahe par ikaththa hote hai or Holika Dahan kiya jata hai. Holika Dahan me lakadi ka dher khada kiya jata hai or usme gobar ke uple bhi rakhe jate hai. Iske bad Holika Dahan kiya jata hai. Log jal rahi Holi me khajoor, popcorn or nariyal dalte hai or Holika ki pradakshina bhi karte hai.

Holi Celebration in Gujarat


Holika Dahan ke doosre din rango ka toyhar manate hai jise Dhuleti ke nam se jana jata hai. Dhuleti ke din ek doosre ke upar colour water dale jate hai or rango bhare gubbare dale jate hai. Dwarka main, jahan Krishna Bhagwan ka bada mandir hai waha, musical or sanskritic program rakhe jate hai or bade hi dhoom dhaam ke sath Holi ka jashna manaya jata hai.


Ahmadabad me kai jagaho par dahi or chhachh ka bhara ghada streets me upar bandha jata hai. Ladko ki toli nachate gate aati hai or insani pyramid banakar us mataki ko todne ka prayatna karte hai.To udhar ladkiya rango se bhare pani unpar dalati hai or unhe mataki todne se rokti hai. Mano Krishna bhgvan dahi churane aaye ho or ladkiya us dahi ko bacha rahi ho. Ant me jo bhi ladka is work me safal rehta hai use Holi King ka samman diya jata hai.

To kai jagaho par devar Bhabhi ke sath Holi ka tyohar manaya jata hai. Bhabhi apne devar ko sari ke gol rassi banake pitati hai or use color lagati hai to uske badle me devar Bhabhi ke liye gift or sweets lata hai. Isi Tarah harsh or Ullas ke sath Holi ka tyohar manaya jata hai.

Holi Celebration in Goa

Goa main Holi ko Ukkuli ke naam se jana jata hai. Goa ki local bhasha Konkani hai or Ukkuli Konkani word hai. Goa main Holi Konkani mandir ke aaspas manaya jata hai. Konkani ka yeh mandir Gosaraipuram Mandir ke nam se bhi prasidhdha hai.

Holi Celebration in Goa


Goa main Holi ka celebration unke Shigmo festival ka hi ek part hai. Shigmo basant ritu ka festival hai jo takariban pure mahine tak chalta hai. Holi festival isi ek mahine lambe chalne vale festival ka colourful aur important hissa hai.

Holi ke celebration me Holika Dahan or Dhuleti ka karyakram hota hai. Gosaraipuram Mandir me aaye bhakto par kesari ya pila rang ya fir gulal dala jata hai or bade hi mast dhang se Holi ka Tyohar manaya jata hai.

Holi Celebration in Maharashtra

Maharashtra me bhi Holi ka Jashna kuch kuch Goa ki Tarah hi hota hai. Maharashtra main Holi ka festival Shimga ke name se bhi jana jata hai. Shimga paanch se saat dino tak manaya jata hai or Holi is celebration ka part hai. Tyohar ke ek din pahele yuva ikaththe hote hai or logo se paisa, food or lakdi collect karte hai.

Holi Celebration in Maharashtra


Shimga ke din lakadiyo ka ek bada dher taiyar kiya jata hai or sham ko agni prajwalit ki jati hai. Log ghar se bahar aate hai or apne sath meals and desserts lekar aate hai or Agni dev ko samarpit karte hai. Puranpoli ka is celebration me kafi mahatva rehta hai. Bacche shor machete hai or "Holi re holi pranachi Poli" chillate hai. Shimga tyohar apni burai o ko mitane ka tyohar hai or uske baad colour festival ko manaya jata hai jise Rangpanchami bhi kahete hai. Holi ke is utsav me log apne purane gile shikve mitakar ek doosre ko gale lagate hai or relation ki nai shuruat karte hai.

Final Words: To dosto yeh tha Holi celebration ka ek aur article. Is article me hamne dekha ki kaise log Gujarat Goa and Maharashtra main Holi ka tyohar manate hai. Aapko yeh article kaisa laga hame jaroor batae or happy holi whatsapp messages ke liye website ke anya article dekhe. Happy Holi!

Post a Comment

0 Comments