Holi Essay in Hindi | Holi Par Nibandh | Holi Kyu Manai jati hai? Kaise Manai Jati hai?

Holi Essay in Hindi | Holi Par Nibandh: Namaskar dosto! Holi par hindi me nibandh ke iss article me aapka hardik swagat karte hai. Bharat tyoharo ka desh hai or bhati bhati ke tyohar ham log Khushi se manate hai. 


In sabhi tyoharo me sabse anokha tyohar agar koi hai to wo hai Holi. Is post me hamne holi essay in hindi aapke liye banaya hai jo ki sabhi standard ke students ko kaam ayega. Yeh holi nibandh teachers ke liye bhi kafi kam Aayega.


holi-par-nibandh-essay-on-holi-in-hindi



Is article me hamne Holi se judi kafi jankari ikaththa ki hai jisme me se aap sahi jankari apne hisab se chunkar holi par short essay 100 words ya long essay 150 words ke upar aasani se bana payenge. Aap isme se 10 lines on holi festival in hindi essay bhi collect kar sakte hai. To aaiye chalte hai holi nibandh in hindi essay ki taraf.


Holi Par Nibandh Hindi me:


Holi Hindu dharm ke pramukh tyoharo me se ek hai or pure bharat desh me ise dhamdhum se manaya jata hai. Bharat ke sath sath Nepal me bhi Holi ke tyohar ko badi hi dhamdhoom se manaya jata hai. 

Holi ko rango ka tyohar mana jata hai. Holi ko Dhuelti, Dhulandi or Rangotsav jaise nam se bhi jana jata hai. To aaiye ab jante hai ki Holi Kab Manai Jati hai.



Holi Kab Manai Jati Hai?

Holi Hindu calendar ke Falgun mahine me manai jaati hai. Falgun mahine ki Purnima ko Holi ka tyohar manaya jaata hai. Jo jyadatar English calendar ke March mahine me aata hai. Holi ka doosra din dhuleti ke naam se manaya jata hai. jo holi ke sath sath  bada hi famous tyohar hai.


Holi 2019 me kab hai: Holi 2019 me 20 March ko hai. us din Guruvar hai.
Holi 2020 me kab hai: Holi 2020 me 9 March ko hai. us din Somvar hai.
Holi 2021 me kab hai: Holi 2021 me 28 March ko hai. us din Ravivar hai.


Holi kyu manaya jata hai?

Holi kab manate hai wo to hamne dekh liya to aaiye ab jante hai ki Holi kyu manai jati hai. Holi ke tyohar ke piche kuch kahaniya judi hui hai. In sabme pramukh kahani mani jati hai Prahlad or Hiranyakashipi ki. Isi kahani ko aadhar mana jata hai Holi ko manane ke liye. To aaiye dekhte hai Holi se judi is kahani ko.


Purane samay me Hiranyakashipu namaka bahut hi shaktishali rakhsas tha. Hiranyakashipu kafi shaktishali tha or use apni shakti ka bahut hi ghamad tha. Yahan tak ki vo khudko hi bhagvan manane laga tha. 


Hiranyakashipu ki khudko bhagvan manane ke piche bhi ek vajah thi. Use esa vardan mila hua tha ki uski mrityu na hi koi manushya kar sakta tha or na hi koi pashu. Wo din me nahi marega or nahi rat me. use koi astra se nahi mara ja sakega or na hi koi shastra se. Use jamin ke upar nahi mar payenge ya nahi pani me. Use na hi ghar ke Andar jake mara ja sakega ya nahi ghar ke bahar. 


Is 5 Tarah ke ashirvad se use rakshan mila hua tha or isi liye vo apne aapko bhagvan manane laga tha. Yahan tak ki usne apne pure raj me doosre koi bhi bhagvan ki pooja karne par pratibandh laga diya tha. 


Lekin Hiranyakashipu ko is bat ka pratikar apne ghar se hi jhelna pada. Hiranyakashipu ka ek beta tha jiska nam tha Prahlad. Prahlad bhgvan Vishnu ko bahut hi bada bhakt tha or raat din bhgvan Vishnu ki pooja karta rahta tha. 


Hiranyakashipu ne Prahlad ho bahut bar samjhane ki koshish ki lekin Prahlad ne Vishnu Bhakti nahi chhodi. Jab samjhane se Prahlad nahi mana to Hiranyakashipu ne use dhamaki bhi di lekin Prahlad use bhi nahi mana.


Aakhirkar Hiranyakashipu ne Prahlad ko maar dalne ki yojna banai. Hiranyakashipu ne apni rakshas bahen Putana ko bulaya or puri bat batai. Holika bhi kafi shaktishali thi or use bhi vardan ke rup me kavach mila tha. Us kavach se koi bhi agni Holika ko nahi jala sakta tha. Hiranyakashipu or Holika ne Prahlad ko jalakar mar dalne ki yojna banai.


Prahlad ko jalakar marne ke liye Hiranyakashipu ne lakdiyo ka dher khada kiya. Us par Holika ko bithaya or uski god me Prahlad ko bithaya. Uske baad us lakdiyo me aag laga di. 


In sabhi khsano me Prahlad to bhagvan Vishnu ka naam hi le raha tha. Ab hua yu ki pawan ke aane se vo kavach jo Holika ne pehna hua tha wo udakar Prahlad ke sharir par aa gaya. Prahlad aag se bach gaya or Holika jalkar mar gai.


Isi din se Holi ka tyohar manaya jata hai or is tyohar ko Holika Dahan ke naam se bhi jana jata hai. Holi ko burai ke khilaf achchai ki jit ke Pratik ke rup me bhi dekha jata hai. Holi ke sath kuch or bhi kahani judi hui hai. Prahlad ke baad sabse charchit kahani Bhagvan Krishna se judi hai.


Krishna jab chhote the to unhe marne ke liye unke mama Kans ne Putana namki rakshas ko bheja tha. Putna ne Krishna ko marne ke liye doodh me Jahar milaya tha. Krishna wo Jahar se to bach gaye lekin unka rang kala pad gaya. 


Putana ki maut ho gai. Krishna kale ho gaye the or woh Radha ko pasand karte the. Krishna ne Yashoda se is baat ko kaha to Yashoda ne kaha ki woh Radha ke paas jaye or yeh baat kah de or use jo bhi rang pasand ho us rang me Krishna ko rang de.


Krishna ne Radha se jakar kaha ki wo use pasand karte hai or wo jo bhi rang pasand kare usse Krishna ko rang de. Radha ne Krishna ko Gulal se rang diya tabhi se yeh tyohar Holi ke rup me manaya jata hai. Ise Rangpanchami ke naam se bhi jana jata hai.


Holi se judi bhagvan Shiv ki yeh katha bhi kafi mashahoor hai. Is kahani ke mutabik, Bhagvan Shiv yogic samadhi me lin the or Devi Parvati ko Shiv ko us samadhi me se bahar lana tha. 


Parvati ne prem ke devta Kamdev ko iske bare me bataya to Kamdev ne Parvati ki madad karne ki taiyari dikhai. Kamdev ne basant Panchami ke din fulo ke baan se or apni patni Rati ke sath milkar prem ke gito se Shiv ko dhyan me se bahar nikala.


Shivji dhyan se to bahar nikle lekin unko kafi krodh aaya. Unhone apni teesri aankh kholi or Kamdev ko bhasma kar diya. Is baat se Parvati or Rati dono behad vyakul ho gaye or Shiv ko puri hakikat byan ki. 


Rati ne apne pati ko vapis lane ke liye us din se khas pooja shuru ki. Unhone 40 dino tak pooja ki or Kamdev ko vapis laya. Usi din ko Holi ke rup me manaya jaata hai. Basant Panchami se takariban 40 dino ke baad Holi ka tyohar aata hai.



Holi kaise manai jati hai?

Ab tak ke is article me hamne dekha ki ham holi kyo manate hai or kab manate hai. Ab ham jante hai holi ka tyohar kaise manaya jata hai. Holi do dino tak manaye jane vala tyohar hai. Pehla din Holi ke nam se to doosra din Dhuleti ke nam se manaya jata hai.


Holi ki sham ho gali or chaurahe par lakdiyo ka dher khada kiya jata hai. Jisme gobar ke uple bhi dale jaate hai. Is dher ko aag lagai jati hai jise ham Holika Dahan kahte hai. Aag se ban rahi Holika ke log darshan karte hai or uski pradakshina bhi karte hai. Usme nariyal or dhani ka bhog bhi chadhate hai.


Holi ka doosra din manaya jata hai rango ke tyohar ke rup me. Log ghar se bahar nikalke ek doosre se abil or gulal lagate gai or dhamdhhom or khushiyo se bhara din bitate hai. Sham ko ek doosre ke ghar jate hai or buri yaden mitakar achchi or nayi shuruat karte hai behatar rishto ke liye.


Final Words: To yeh tha holi par nibandh hindi me. Ummid rakhte hai ki aapko yahan di gai jankari bahut kam aayegi or holi ke liye happy holi messages check karna nahi bhule. Aapko or aapke pure parivar ko hamari taraf se Happy Holi 2021!

Post a Comment

0 Comments