Holi Celebration in World - Details in Hindi - Jaane Puri Duniya me Holi ka tyohar kaise manaya jata hai

Holi Celebration in world | Duniya ke doosre desho me Holi Kaise Manai Jati Hai: Namaskar dosto! Holi celebration ke is ek or vishes article me aapka swagat hai. 

Hum sab log jante hai ki Holi rango ka tyohar hai or Bharat desh me pure dham dhoom se log is tyohar ko manate hai. Hamne Holi par nibandh taiyar kiya tha jisme hamne kaha tha ki Holi sirf Bharat me hi nahi lekin pure vishva me manaya jata hai. 


To aaiye ab dekhte hai ki kaun kaun se desh holi  ko manate hai or wahan Holi celebration kaise hota hai.


Holi Celebration in world details in hindi



Holi Celebration in Nepal | Nepal me Holi ka celebration


Bharat ke baad agar kisi desh me Holi ka shandar celebration hota hai to woh hai Nepal. Nepal ek Hindu rashtra hai aur yahan sabhi Hindu tyohar bade hi harshollas ke sath manaye jate hai. 


Diwali ke baad Holi Nepal me sabse bada tyohar mana jata hai. Holi Nepal ka rashtriya tyohar hai or Holi ke din Nepal me official chhutti rehti hai.


Nepal me Holi ka celebration Bhagwan Krishna ki yaad me manaya jata hai. Nepal me holi Phagun mahine me manaya jata hai jo bharatiya mahine ke mutabik hi aata hai. Hindu log Krishna ki yaad me holi ka tyohar manate hai to Budhdhist log mandiro me devi Saraswati ki aaradhana karte hai.


Nepal me Holi ke din ek doosre ke upar colour dalte hai aur ek doosre ke upar pani or colur se bhare gubbare fenke jate hai. Ek baat bahut hi interesting hai ki yahan paani se bhare gubbaro ko Lola kaha jaata hai. 


Iske sath sath Bharat ki Tarah hi Holi ke din khane me Bhang or thandai milai jaati hai or bahut hi shandar tarike se Nepal me Holi mania jati hai.



Holi Celebration in Pakistan


Bharat ke doosre padoshi desh Pakistan me bhi Holi mania Jati hai. Alpasankhyak Hindu yahan bhi Holi manate hai. Halanki Pakistan me alpasankhyako ki halat itne achche nahi hai lekin vahan bhi Holi mania jati hai.


Ek baat yahan khaas janne vali hai ki Pakistan me aazadi se lekar saal  tak Holi ki chutti nahi di ja rahi thi. Ha aapne sahi padha hai. Pakistan me 1947 se lekar 2016 tak Holi ki holiday nahi thi. 2016 me Pakistan ke sansad ne ise chutti ghoshit ki us waqt bhi uska kafi virodh hua tha. 


Halanki bahut sare logo ne uska samarthan bhi kiya tha lekin virodh karne valo ne esi dalil jahir ki thi ki hame doosre dharmo ke bare me apne bachcho ko nahi janne dena chahiye.


Holi Celebration in United States


United States me bhi Holi ka tyohar bade achche tarike se manaya jata hai. United States me Hindu community ke log bahut badu sankhya me hai is liye wahan bhi Holi bade harshollas ke sath mania jati hai. 


Yahan par Holi sanskrutik halls me or mandiro me bhaktibhav tarike se manate hai. Wahan bhi Holi ka sama dekhte hi banata hai.


Holi Celebration in Trinidad and Tobago


Trinidad and Tobago me bhi Holi ka tyohar shandar roop se manaya jata hai. Yahan par Holi ke tyohar ko Phagwah ke naam se jaana jata hai. Yahan par Holi ravivar ko hi manai jaati hai. Yani ke Holi sabse najdiki ravivar ko Holi manai jati hai.


 Yahan par Holi ka tyohar Rango ke khel or Holi ke Gaano se manai jati hai. Ek interesting baat ki Trinidad and Tobago me Holi ke gano ko Chowtal ke naam se jana jata hai.

Holi Celebration in Suriname


Trinidad and Tobago ki Tarah hi Suriname me Holi festival ko Phagwah ke naam se jana jata hai or manaya jata hai. Hindu dharma ki manyatta ko respect dene ke liye or basant ritu ke aagman ko celebrate karne ke liye Holi ka tyohar manaya jata hai. 


Suriname me Holi ki national holiday hoti hai. Holi ke din yahan par log apne purane safed vastra pahante hai or ek doosre par colour chidkte or shandar tarike se Holi ko celebrate karte hai.


Holi Celebration in Guyana 


Doosre desho ki Tarah Guyana me bhi Holi ko national holiday declare kaya gaya hai. Sabhi dharm or jati ke log Holi ke celebration me participation karte hai. Ek doosre ke upar color dala jata hai or holi ka tyohar manate hai or iske sath hi mandiro me pooja or prasad ka program bhi rakha jata hai.


Holi Celebration in Mauritius


Mauritius ek khoobsoorat desh hai or yahan pr bhi holi ki dhoom raheti hai. Mauritius me Holi ke tyohar ko Shivratri or Basant rutu ke aane ki Khushi me manate hai. Yahan par bhi bharat ki Tarah hi ek doosre ke upar colour daal kar holi ka tyohar manaya jata hai.


Holi Celebration in Fiji


Fiji me bhi Holi ke tyohar ki dhoom rahti hai. Holi ka tyohar Fiji me rango ka tyohar, lok sangit (folk music) or lok nrutya (folk dance) ka tyohar mana jaata hai. Fiji me ek doosre par rang daalkar, nachate or gaate hue Holi ka tyohar bade hi dhoom ke sath manaya jata hai. 


Ek interesting baat yeh hai ki Fiji me Holi ke gaano ko Phaag Gaiaan ke naam se jana jata hai. Or Khas rup me Radha or Krishna ki yaad me Holi ka tyohar celebrate kiya jata hai. 



Final Words: To yeh the duniya ke kuch pramukh desh jahan par Holi ka tyohar badi hi dhoom se manaya jata hai. Iske alava or bhi desh ki jaha par Hindu log baste hai vaha par bhi Holi ka tyohar manaya jaata hai. 


To yeh thi Holi celebration ki details Hindi me. Is article me apne jaana ki Duniya bhar me Holi kaise manate hai or voh bhi Hindi language me. Hum asha rakhte hai ki aapko yeh information achchi lagi hogi. Agar apko yeh details useful lagi to ise like aur share karna nahi bhule aur apne dosto ke sath bhi is page ko share kare. 


Please check all the articles on the website for more Happy Holi Wishes 2021. Have a happy and Safe Holi!

Post a Comment

0 Comments