Holi Colours Images : How Holi Colours are made?

Holi Colours Images: Namaskar Dosto! Holi celebration ke ek or important article pe aapka hardik swagat hai. Hum sab jante hai ki holi rango ka tyohar hai aur hamne holi essay or holi celebration ke articles me bhi discuss kiya tha ki kaise rango ka tyohar Bharat me aur videsho me dhoom dham se manaya jata hai.


To is rango ke tyohar ke liye Holi color kaise banaye jate hai or uske sath hi Holi Colours images aapko is post me milenge. To is pure article ko dhyan se padhe. Aur ek khas bat ki is post me hamne natural or organic colours kaise milate hai usi ke bare me likha hai synthetic colors ke bare me nahi. Synthetic colours swasthya or skin ke liye bahut hanikark hote hai to aapko bhi sabhi synthetic colors se bach kar rahna chahiye or sirf natural colors se Holi ka tyohar manana chahiye.

How Holi Colours are made?

Purane samay me Holi ke rango ko natural way me banaya jata tha jo ki skin ke liye bhi kafi achchha rehta tha. Tyohar ka utsav bhi rehta tha or health bhi maintain rehti thi. Jab basant rutu ka aagman hota hai tab atmosphere me or weather me kafi badlav hote hai. Isi rutu me viral fever or shardi lagne ka dar rehta hai. Isi liye kudarati padartho me se banaye gaye rango se tyohar bhi mana liya jata hai or in sabhi bimarioyo se bhi rahat milati hai.

Kudarati rango se banaye Gulal me Neem, Kumkum, Haldi or iske alava or bhi natural cheezo me se color banaye jate hai jo skin ke liye bhi hanikarak nahi hote hai. To aiiye ab dekhte hai kaun si cheezo me se kaun se rang banaye jate hai.


Green Colour: Mehandi ke hare patte or Gulmohar ke sukhe patte hare rang ka best or free source mane jate hai. Vahi Bharat ke kuch ilako me, Ravi crop ka bhi season hota hai to in crop ke hare patto me se bhi Hara Rang ya Green Colour milta hai ya banaya jata hai.

Black Colour: Angoor ki alag alag kism ke prajati o me se or Amvle ke fal me se kala rang (Black colour) paya jata hai.Iske sath hi Vanaspati carbon ya kahe Charcoal me se Grey ya kala rang prapt hota hai.

Blue Colour: Neel ke paudhe ki jisko ham Indigo plant kehte hai usme se Blue colour paya jata hai. Iske sath sath Bhartiya Jamoon, Angoor ki prajatiya, Nile Hibiscus or Jekra ke fool Blue colour ke natural source hai.

Brown Colour: Sukhi chay ki pattiya brown colour ka ek achchha source hai. Iske sath hi kuch Tarah ki Mitti ki prajatiya bhi brown colour ke vaikalpic strot hai.


Magenta and Purple Colour: Chukandar magenta aur purple colour ka Achcha strot mana jata hai. Inko pani me ubalkar isme se pani ke colour banaye jate hai.

Yellow Colour: Haldi ka powder Yellow color ka best aur paramparik strot hai. Kai bar ise achca colour banana ke liye chane, chole ya fir uske aate se milaya jata hai. Iske sath hi bail fal, genda ful or Guldaudi ki prajatiya yellow colour ke kuch or strot hai. Haldi skin ke lie bhi best mani jati hai.

Orange and Red Colour: Lal or gehre narangi rang ke liye Palash ya tesu ke phool best vikalp hai. Iske alava Sugandhit Chandan li lakdi or anar se bhi ise paya jata hai. Pani me kesar milakar bhi orange and red color taiyar kiya jata hai to Haldi powder ke sath chuna milakar santre ke powder jaisa colour taiyar kiya jata hai.

Holi Colours Images

holi-colours-images

holi-colours-images-hd

holi-colours-images

Holi Color Images


holi-colors-images

holi-colors-images


Final Words: To dosto yeh tha Holi Colours ke upar hamara special article. Ummid karte hai ki aapko yeh article informative raha hoga aur aapko yeh bhi pata chala hoga ki holi ke colours kaise banaye jate hai. Sath me hi holi colours images bhi aapko pasand aai hogi. Happy Holi Wishes and Quotes ke liye website ke or article bhi dekh sakte hai. Have a Happy and safe Holi!

Post a Comment

0 Comments